Kaise bachaye Apne Facebook Account Ko Hack Hone se By Techthetips.

By
Advertisement

Hi Friends aap sabhi logo ko mere taraf naye saal ki bahut bahut dili mubarakbad.

 

Facebook Hacking

Dosto main aap logo ko naye saal ke subh absar par facebook account ko hack hone se bachne ke liye ek bahut hi acchi tricks batane ja raha hoon. jisse ki aap ise follow karke apne Facebook Account ko hack hone se bacha sakte ho. dekha jaye to facebook ne apne taraf se users ke liye  bahut hi acchi sequerty ki byabastha ki hai. fir bhi users ki galtiyo se facebook ko use karne ke karan in users ke account hackers ke dwara bahut hi assani se hack ho jate hai. inhi choti choti galtiyo se kaise rahe bachkar aaiye jante hai.

Aise rakhe apne Facebook Account ko Safe.

sabse khas baat to aap log yah jan le  ki apne kisi account ka password simple yani ke sadharan na rakhe, aisa karne se hackers ko bahut hi assani se aapke account ko hack kar sakte hai. aap log ye to jante hi honge ki jab bhi hume koi bada nuksan hota hai us nuksan me apne kisi khas ka hath hota hai. kyoki usi khas aadmi ko humare secreat bahut acche se pata hota hai.

Bychance life me koi twist aisa aata hai jisse ki wohi khas humse alag ho jata hai aur humare secret ko galat tareeke se use karta hai. bs isi problem ko yad rakh ke hume aisa password creat karna chaiye jiska kisi ko jiker tak na ho. yad rahe yhi humari sabse pakad hoti hai kisi bhi account ya koi cheez se bachne ke liye.

jaise ki main aapko kuch example deta hoon suppose that aapne apna password apna name ya apni gf ka name apna nick name ya aise hi koi simple se name ka password creat kar liya to bas samaj leejiye ki isko crack karne me hackers ko jyada time nahi lagta aur wo aise password ko assani se crack kar deta hai. aur aapke account ko easily tareeke se hack kar leta hai.

Kya Karen Kya Na Karen.?


facebook hacking
 
Aise Banaye Apne Account Ka Password.


1- yad rahe aap apne password ko kam se kam Eight words (8) me creat karen. ager aap  Eight words  me password ko creat karte hai to aapka password Random Generator name ke trough hackers ise Hack nahi kar sakta.

2- Password creat karte time special characters ka bhi use karle to bahut hi achha rahega.

3- Ager aap chahte hai ki aapka password bahut hi acche se secure ho to aap apne password me numbers ka use kar le jaise ki 1 2 3 4 5 6 kuch bhi.

Apne Account ko Log out Karna Na bhoole.?

Ager aap apne Internet account ko kisi cafe ya college me use karte hai to is bat ka bhi aapko khyal rahe ki use karne ke bad usko log out jaroor kar den. aur han ager aap ye bhi kar den to jyada accha rahega aapne jo kuch bhi use kiya hai uski history ko aap delete kar den.

Ager aap google Chrome ko apne computer par use kar rhe hai to incognito Mode Start karke aap ager use karenge to ager aap is mode par work karenge to jaise hi aap browers ko close karenge to aap browser history automaically clear ho  jayegi. aur aapki koi bhi jankari local storag me nahi bacegi.
Facebook Security se Relative New Feature inka bhi kare use.

Dosto main aap logo ko bata doon ki facebook time-2 par apne users ke security ke liye kai parkar ke app bhi launch karta rahta hai. jisse ki facebook users ke account secure bana rahe.
jaise ki ager aapne ye feature ko apne device me activate kar liya to aapke account se agre koi bina bataye kuch bhi karta hai. to automaically aapko email par turant message aa jayega, us message ke trough aap apne account ko safe kar sakte hai.

Ager aap smartphone ka use kar rahe hai to jahir si bat hai ki aapka email sync ka option enable hona chaiye. ager enable hoga to aapko email message bhi bina Deley mil jayega. aur aap time se apne password ko bhi change kar sakte hai.

Jaroor Karen Apne Device Me HTTP Ko Check.


facebook hacking http

Aap apne account ko jab bhi log in karen to usse pahle ye jaroor check karle ki aapke address bar me facebook.com hi likha hua hai, usse pahle ye bhi dekh le ki green colour ka lock mark dikayi de raha hai.
Ager aapko aisa kuch nhi dikhai de raha hai to aap apne account ko just logout kar deejiye. aur apne browers ko update karle.... Thank u.

Note-Aane Bale E-mail se kabhi na karen apne Account ko log In.















 

0 comments:

Post a Comment