Ager Ho Gaya Hai Aapka Keyboard Kharab To Aise karen Typing.

By
Advertisement



On screen Keyboard

Hi Friends kya aapke computer ka keyboard kharab ho gaya hai. aur aapko kuch important work bhi karne hai. jo bina keyboard ke possible nahi hai, un kamo ko karne ke liye aaj main aapko typing karne ke nayi tricks batane ja raha hoon. is article ke trough aap computer ka keyboard kharab hone ke babajood aap aasani se typing kar sakte hai.

Aapko ye jankari to hogi hai ki aapke computer me pre On Screen keyboard pahle se hi load hota hai. is onscreen keyboard ka use hum mouse se kar sakte hai. ager aap kisi post ya article ko type karna chahte ho to kisi extention ki help se write kar sakte hai. jo aapke voice ko text me assani se change kar dega.

Computer me Kahan Hota Hai On Screen Keyboard Ise Kaise karen Search.

On Screen Keyboard (osk)


pc me on screen keyboard ko search karne ke liye aapko sabse pahle aap start menu par click karenge iske bad program ke submenu ko open keejiye wahan par aapko virtual keyboard name ka ek option dikahyi de raha hoga. jaise hi aap is option par click karenge to aapke samne on screen keyboard open hokar aa jayega.

Ise hum doosre tareeke se pc me find kar sakte hai, iske liye aap start menu par click keejiye iske bad run box command me on screen keyboard likhkar enter ka button press kar deejiye. on screen keyboard aapke samne open ho jayega.

Kya aapke Mouse ka Click bhi kharab hai fir bhi karega ye apna kam.
Pc ko use karte karte kabhi kisi problem se mouse click karna bana kar jata hai aur work karte time aisi situation ho jaye to ye bahut badi problem create ho jati hai tab hume kuch samajh me nahi aata ki ab kya karen.

Isi problem ko lekar humari current work progress me rukabat aa jati hai aur hum typing bhi nahi kar pate hai, dosto main aapki is problem ka bhi solution lekar aaya hoon. Is problem ka solution on screen keyboard me diya gaya hai ager aap check karna chahte hai to aap jis word ko type karna chahte hai aap us word par mouse cursor ko us jagah par le jao. main aap logo ko example ke liye ek aur cheez batata hoon.

jaise ki aapko A word type karna hai to aap mouse cursor ko A button par le jakar kuch time ke liye chod deejiye wo word automatically type ho jayega. Aisa karne ke liye aapko on screen keyboard ki setting ko change karna padega.

Kaise karen On Screen Keyboard ke Setting ko Change.?


On screen Keyboard ke setting ko change karne ke liye aap sabse pahle on screen keyboard ke right side neeche diye gaye opption par keejiye.
jaise hi aap us option par click karenge to aapke samne ek nayi window screen open ho jayegi aap isme dekhiye aapko hovour over keys ka option dikhayi de raha hoga aap us par click keejiye.
Aur haan isme aap apne hisab se timeing ko bhi sate kar sakte ho ki kitni der axhar par cursor rakhne ke bad wo axhar automatically type ho jaye....Thank you.

0 comments:

Post a Comment