Kaise karen Bina Internet Conection ke Paytm Ko Use.

By
Advertisement

Paytm karo



Hi Friends Aaj tak aap logo ne keval paytm ka use internet connection ke sath hi kiya hoga, to aaj main aap logo ko ek aisi tricks batane ja raha hoon, ki aap us trick se bina internet connection ke bhi paytm ko use kar sakte ho. kaise karnege use ye janne ke liye aap is article ko read kariye aur ise follow keejiye.
Friends aap log Paytm ke bare me to jante hi honge, aur hamare jo bhi dost ya viewer paytm ke bare me nahi bhi jante the wo bhi ab jan gaye hai ki kya hai paytm aur kya hai iska use. jab se india goverment ne 1000 aur 500 ki curruncy ban ki hai tb se paytm ka craze jayada bad gaya hai, paytm ko use karke logo ki bahut problems solve hui hai.

Kya hai Paytm Jane:-


paytm karo


Paytm ek prakar ka Wallet App hai, is app ke trough hum aasani se money ko kahin bhi transfer kar sakte hai sabhi parkar ke Recharge kar sakte hai online Transaction bhi kar sakte hai aur bhi kai uses hai. but in sabko use karne ke liye abhi tak aap logo ko internet connection ki jarurat padti hogi, ab aapko internet connection ki koi bhi jaroorat nahi padegi ab aap in services ko bina internet ke bhi use kar sakte ho.
aisa karne ke liye company ne ek Toll-Free Number launch kiya hai, bas to fir aapne jis number se paytm account banaya hai usi number se toll free number par call kar deejiye jisse ki aapka Pin Set Ho jayega.

paytm karo


                                                        Toll-Free Number- 1800 1800 1234


Jaise hi aap call karenge to call cut hone ke bad aapke pass ek Voice Message Recieve hoga. is voice message me aapko call Back ke bare me jankari milegi. usi time aap apna Pin Set kar leejiye.
Pin Set hone ke bad aap Bina Internet Connection ke Paytm wallet ko aasani se use kar sakte ho. Aur kabhi bhi kahin bhi online Transaction bhi kar sakte ho....Thank you.


0 comments:

Post a Comment