Jane Kya Hota Hai Torrent Aur Ise Kaise Karte Hai Use..?

By
Advertisement

Hi Friends aaj hum aap logo ko Torrent ke bare me batane ja rahe hai. ki Torrent kya hota hai aur iska use kya hota hai ise kaise use karte hai. To chaliye hum aapko bata de ki Torrent Computer Internet Users ke liye bahut hai achha hota hai. but abhi bhi bahut se Internet Users hai, jo ye nhi jante ki Torrent kya hota hai. aur kya hai iske benifits. to hum batate hai ki kya hota hai Torrent Aur kya hote hai iske Benifits.

www.Techthetips.com


Kya Hota hai Torrent..?

Torrent means hota hai Shower (Bouchar) Defeats (Dhara). dosto jaisa iska name hai waisa hi iska kam bhi hai. name ke ansusar iski download process bhi hai. Torrent ko download karne ke liye hume ek Small Tracker File ki jarurat hoti hai. jiska File Extension Torrent Hota hai, yah apne aap me poori download file nhi hoti hai. aapko torrent downloader hi batata hai ki aapko kahan se download karna hai.

Kaise karta Torrent Work Jane..?

Torrent jo hota hai wah Internet se File ko Download karne ka ek accha aur fast tareeka hai. But ye Normal Downloading se Different hai, isliye ki aap log jab intenet se koi file ko download karte hai. to wah file kisi ek computer (computer server) ke through hamare pass aati hai. but jab hum Torrent ke Through koi file download karte hai, To wah file hamare pass Direct server se na aakar other computers se hamare pass aati hai.

Torrent Ki Language Me Kya hote hai
Seeds  Peers And Leeches ..?

Seeder:-

Jo users Torrent ki site par fileo ko Share aur Upload karte hai. un users ko seeder kahte hai.

Peer:-
Jo users Torrent site par Downloading ke sath sath Data ko upload bhi karte hai. un users ko Peer kaha jata hai.

Leeches:-
Ager aap log Torrent ke through koi file ko download karte ho, to usi file ko wahi par upload bhi karna bhi jaroori hota hai. kuch user file ko download to kar lete hai, but use upload nhi karte hai. aisa na karne se Torrent file ki uplabdta dusre users ke liye kam ho jati hai. Aise users ko Leeches kaha jata hai.
Jaisa ki maine aap logo ko abhi bataya hai ki file ko Download karke upload karne ki process ko Peer To Peer File Sharing kahte hai. jisme users ek doosre ko jane bina Torrent ke through file ko share karte hai. Torrent ke Through jyadatar Badi fileo ko Share kiya jata hai.
Ager aap log Torrent ke through kisi file ko download karte hai. to us file ki speed is bat par nirbhar karti hai, ki kitne users ne us file ko seed kiya hai. In seeders ki Quantity jitni jyada hogi Utni hi acchi Download speed Hogi.....Thank You.


0 comments:

Post a Comment