Bina Password Ke kaise karen Wi-FI Ko Share...?

By
Advertisement



Dosto Aap logo ke pass Wi-Fi- connection to hoga hi aisa main janta to nahi lekin manta hoon. aur aap log usko use bhi karte honge. to main aapko ek tension se free karne ka nayab aur badiya tareeka batane ja rha hoon. Aap jab us connection ko use karte hai, to aapke friends bhi aapke connection ko share karne ke liye kahte honge. tab aapko unse share hone ke liye password bhi batana padta hoga. main aap logo ke liye ek aisi trick laya hoon jisse password ko batane ka janjath khatm ho jayega. aur aapke friends password ke bina hi wi fi connection ko share kar sakte hai.

Password ki problem ko karen Solve..?


To sabse pahle aapko apne wi-fi Connection ke liye QR Code Banana hoga.
QR Code ko banane ke liye aap Internet se Website ke  throgh ise Free me Generate kar sakte ho. Main aapko Example ke tour me aapko ek website ka name bhi bata raha hoon. www.Zxing.appspot.com is website ke throgh aap QR code ko bana sakte ho.

Without Giving Password Share Wi-Fi-..?

Yahan Dekhiye aapko Ek fourm dikhai de raha hoga, iske upper side me dekhiye aapko Content Dropdown menu dikhayi de raha hoga. isme bhaut se option bhi honge unme se aapko Wi Fi Network option ko choose karna hai.
Ab isme se aapko SSID name ke option me apne wi fi network ka name dalna padega.

Ab password option me usi password ko creat kariye, jo aapka Network ka password hai.

jb aap Generate option pr click karenge to aapke samne ek QR Code aa jayega, ab aap dekhiye iske theek neeche download name ka option diya gaya hoga. ab aapko uspar click karke Download karna hai. Aur isko Printer se print bhi kar leejiye.

Ab aapke friends ager aapke wi fi connection ko share karne ke liye kahen to unhe usi barcode ko scane karne ke liye de deejiye. jisko scane karne se aapko password batane ki koi jaroorat nahi padegi. jaise hi aapka friend use scane karega uska connection start ho jayega....Thank You.

0 comments:

Post a Comment