Internet What Is Internet Know By Techthetips.

By
Advertisement





Hi Friends aaj Internet ke madyam se Future ko nayi starting mili hai. ager internet na hota to abhi bhi humari aur aapki thinking bahut hi week hoti. ye sab kuch internet hi ka sath hai ki hume aapse jode rakhta hai. bina internet ke computer aur mobile jaise ki kuch hai hi nahi. lagta hai jaise internet ne hi unme jan dal di ho, kya aap bina internet ke whatsapp facebook ya gmail ko use kar sakte ho nahi kabhi nahi. ye sab internet ke hone se hi chalte hai, to chaliye main batata hoon ki kya hota hai internet.

Kya Hota Hai Internet Jane:-)

 
Internet aaj ki duniya ki aisi Technology jo do ya do se adhik computers ko Data Servers, Data Center ko ek time ek sath aapas me jode rahta hai. jaise ki aap facebook ka use karte hai aur us par uploading bhi karte hai. kya aap ye janna nahi chahenge ki jo data aap upload karte hai wo data kahan jata hai. to main batata hoon ki wo data kahan jata hai, ye upload kiya hua data America ke Silicon Belly cities Facebook ke headquarters ke data center me store ho jata hai. yahi to hai internet.

Internet Revolution Kya Hai:-)
 
Present Time par Internet ka use har jagah ho raha rha hai. aur ho bhi kyo na kyoki humari problem jo solve ho jati. dekha jaye to back years me internet se bahut se log aise jud gaye hai, mano ki ye bina iske kisi tecnology ke bare me kuch soch bhi nahi sakte hai. humare samaj se dekha jaye to sayad hi koi aisi jagah ho jahan internet ka use na kiya ja raha ho. internet ka ek simple sa example deta hoon. jisse india me E-Governence ka benifites kai Lacks Village and panchayayt ko mila hai. yahi hai internet Revolution.

Internet Use Karne ke Fayde:-)

Dosto Aaj hame kisi bhi jankari ki jaroorat hoti hai to hum us jankari ko google se find kar lete hai. ager aap kisi Exam ki taiyari kar rahe hai to Google ke through aap behtar taiyari kar sakte hai. Ager aap koi samagree banana chahte ho to Aap internet ke Madhyam se bana sakte ho. Ager aapko bahar kahin bhi ghoomne jana hai to Intenet ke google map se aap help le sakte ho, aur bhi bahut se benifites internet se hote hai.

Internet Se Hone Bale Nuksan:-)
 
Internet ka use ager bahut se log acche kam ke liye use karte hai, to bahut se log iska galat use bhi karte hai. kuch users to networking sites ke habbectual ho jate hai aur contineue isko use karte rahte hai. lagatar use karne se aapke swasth me problem aa jayegi, ager aap continue iska use karte hai to. ager aap unsepreated tareeke se isko chalate hai to aapke computer me virus problem aa jayegi.
Aur han sabse bada nuksan to ye ki internet ka use ager aap secure hokar nahi kar rahe hai to hackers aapki importants cheezo ko hack bhi kar sakte hai.
Bs yahi hai Internet Jiske hone se aapko fayde bhi hai aur nuksan bhi.. Thank you.


0 comments:

Post a Comment