Forgot Password Problem Ko Solve karne ki Trick By Techthetips

By
Advertisement

Kya Aap  Apne Computer ke Password Ko Bhool Gaye Ho.

www.Techthetips.com


Jyadatar hota ye hai ki hum apne computer me password ko creat to kar lete hai. kabhi kabhi kayi password hone ki wajah se hum password bhool bhi jate hai. ki humne kya password creat kiya hai. aur koshis karne ke bad safalta nahi milti hai. aur users bahut hi niras ho jate hai, kyoki un users ke pass computer ko formate karne ke alava koi doosra rasta nahi bacta. to aaj hum aapko doosra rasta ek bahut hi choti trick ke through batane ja raha hun. ki kaise is computer ko bina formate kiye  password ki problem ko solve karte hai. to hum aapko batate hai ki ager ye problem hone se pahle ager aap apne computer ke liye password reset disk bana le to aapki ye typical problem solve ho sakti hai. to kya karna padta hai password reset disk banane ke liye.

Kaise Banaye Password Reset Disk.
Password Reset Disk ko banane ke liye aapko ek pendrive ki jaroorat padegi. aap iske liye koi bhi pendrive le sakte hai, ab aap us pendrive ko apne computer ke usb port me lagaiye. ab pendrive ko lagane ke bad control panel ko open keejiye, ab user account ko select keejiye. ab aap dekhiye user account ke sidebar me aapko ek creat password reset disk ka option dikhayi de raha hoga. aapko us option par click karna hai. jaise hi aap is option par click karenege to aapke samne Forgotten Password wizard open ho jayega. is wizard ko aap follow karte jaiye, jab aap us wizard ko follow karenge to aapse ek current user account password poocha jayega. wahan par password dalkar us option ko Next kar deejiye. aisa karne se aapki password reset disk taiyar ho jayegi.

Password Reset Disk Ko Use Karne ka Tareeka.
Password Reset Disk ka use hum us time karte hai jab hum apne computer ka password bhool jaye. tab hum Password Reset Disk yani ke us pendrive ko computer ke usb port me lagate hai. lagane ke bad password window me ek bar galat password dalte hai. jaise hi hum galat password ka use karenge waise hi aapka computer aapko us  password coloumn ke theek neeche reset password ka option de dega, ab aap us option par click keejiye. aur apna naya password creat kar leejiye. aisa karne se aapke password ki problem aasani se solve ho jayegi....Thank You.

0 comments:

Post a Comment