How to install window in pc

By
Advertisement

How to install window in PC
Dear Freinds aaj main aap logo ko laptop desktop pc computer me window dalne ka tareeka batane ja raha hun. pc me hum aur aap window kab dalte hai aur kyo dalte hai. pc me window hum tab dalte hai jab humari koi bhi window file currept ya miss ho jati hai ya jankari ke na hote hue delete ho jati hai. aur aise me humara system properly work nahi karta, aise samay may humare program bhi sahi tareeke se work nahi karte aur hume kafi paresani uthani padti hai, aur humara system bhi slow ho jata hai. to fir chaliye main aapko batata hun ki pc me window kaise dali jati hai.

Pc me window kaise install kare 





pc me window kaise install karte hai cahliye hum aapko batate hai. to sabse pahle aap apne pc ko open keejiye, haan ek cheez dekh leejiye ki aapne laptop ya desktop jisme aap window install karna chahte hai usme CD Rom drive ka hona jaroori hai, ager desktop ya laptop me nahi hai to external hona chaiye tabhi aap apne pc me window install kar sakte hai. aur han aapke pass window cd hogi to sabse pahle laptop ko On keejiye iske bad cd rom drive ko open keejiye aur usme us window disk ko rakh dete hai, aur iske bad pc system ko restart karte hai, jab system re open hota hai to ek message show hota aur uske sath kuch point blinking hota hai main message ye hota hai main appko batata hun Press Any key to begin setup  tab hum keyboard se koi bhi key press kar dete hai, aur humari installation prakriya start ho jati hai. aur haan agar aisa nhi hota hai to aapko toda samjhna padega main aapko samjhane ki koshis karta hun. and i hope ki aap log samaj jayege, to fir se hum pc ko restart karte hai delete key ko bar bar press karte hai to humare samne neele colour me motherboard ka setup open ho jata us setup me hum bios name ka ek option hota hai, hum us opotion par click karte hai tab boot nam ka ek option open ho jata hai. us par click karne se uske submenu khul jate hai usme kai option show hote hai example: setup date and time, First boot device, Second Boot device, Third Boot device, aur bhi kai To aap first device par HDD Laga  hai Second par CDROM ya aur kuch bhi laga ho sakta hai, to aap First boot device par CDROM ko set kar deejiye. aisa karne ke bad use save kar dete hai save karne ke liye hume F10 key ka use karna padta hai jab hum F10 key ko press karte hai to ek Dilouge box show karta hai, Wo dilouge box ye hota hai  save the changes setup Y/N . Tab hum Y key press kar dete hai. iske bad humara pc automaticlly restart ho jata hai. aur aapka Press Any key to begin setup ye option show karne lgta hai tb aap koi se key press kar do fir aapka installation setup start ho jayega iske bad process chalne ke bad aapke samne ek dilouge box show karega us par likha hoga install Now aap us par click keejiye, click karne ke bad ek option open ho jayega Custom or upgrade ye do option aa jate hai. ab aapko in dono me se ek ko choose karna hota hai, ager aap upgrade par click karte hai to upgrade ka matlab hota hai aapki window jo pahle padi hui thi wo bhi bani rahegi aur nai bhi dal jayegi lekin is type ki process me window sahi se work nahi karti hai, isliye aapko custem choose karna jyada better rahta hai, custom ko choose karne se aap ane window location ko ya other location ko formate kar sakte hai formate hone ke bad aapke laptop ya desktop me sahi tareeke se window install ho jati hai aisa karne ke bad aapke samne next ka option hota hai aap uspar click keejiye. ab aapke samne installtion ki process start ho jati ye process automically kuch samay ke bad compleate ho jayegi. process compleat hone ke bad aapka system apne aap restart ho jayega ab aapko window registration  ya activation key apne system me dalni hai iske bad aapki installation process puri ho jayegi kuch window disk me licence key already registerd hoti hai usme aapko key dalne ki koi jaroorat nahi hoti usme key automatically accept kar leta hai...Thank you 
  

1 comment:

  1. I think that DP-900 Exam PDF is crucial for graduating from any university. Every student should know how to write and I think you should be able to do it, too. I would recommend you to take some extra classes or enroll in additional course.

    ReplyDelete