Dual Boot Manage Solve the operating system problem

By
Advertisement

Yadi aapke Computer me Do Window hai to use kaise kare Dual Boot Manage Simple Tareeka.

Dear friends.....computer me do ya isse adhik operating windows ko rakha ja sakta hai aur kam aane par usme se samay ke anusar kisi bhi  windows ko operate ya chalya bhi ja sakta hai agar aapne apne pc computer me Dual Boot Ya Multi Boot ya isse bhi jyada operating system windows ko install karke rakha hai, To Dual Boot ke through aap in dono opreating system me se kisi bhi window me kam ko kar sakte hai, Ise manage kaise karte hai ye aap logo ko nahi pata hoga, to fir chaliye mai aap logo ko aasani se manage karne ka treeka batate hai.  ise kaise manage karte hai.

www.techthetips.com


Suppose that Ager aapke pc laptop ya desktop computer me aapne Win7 ko install karke rakha hua hai, aur aapko ye bhi pata chal jaye ki win 8.1 ka new virsion bhi market me launch ho gaya hai, Tb hume aur aapko ye lagta hai ki nayi cheez ko bhi use karke dekha jaye ya test kiya jaye,fir hum aur aap aisa hi karte hai, to fir aapne dono window operating system me install kar liye honge, jab aapne aisa kiya hoga to win7 ke bad win 8.1 install karne ke bad jaisa ki hum jante hai windows 8.1 hi aapki default operating system ban jati hai. aur jab hum computer ke switch button ko on karte hai, to win 8.1 hi open hoti hai. to fir ye problem aapke liye bahut hi typical problem create ho jati hai, aur isse system ko chalane me bahut hi jyada paresani hoti. to is problem ko kaise solve karte ye hum aapko batane ja rahe hai, taki aapka pre operating window virson hi default rahe.


www.techthetips.com

Problem ko solve karne ka tareeka...?
jaisa me step by step bata raha hun friends aap log use follow keejiye aapki problem solve ho jayegi. 

step1) start button par click keejiye aur iske bad control panel par click karte hai to control panel open ho jayega.
step2) control panel me system par click keejiye ya window logo key ke sath pause button ko press           keejiye, aisa karne par aapke computer system ki property open ho jayegi.
step3) Ab aapko advance system setting par click karna hai.
step4) Ab aapko Advance Tab par click karna ab aap startup recovery ke neeche dekhiye, aapko vahan par setting name ka option dikhayi dega aap us par click keejiye.
step5) Yahan par aapke operating system ki list show ho rahi hogi, ab aap us opreating system ko list me select keejiye, jise aap default operating  system ke tour par select karna chahte hai. aisa karne ke bad aap apne system ko restart karenge to aapki purani (old) window open ho jayegi.

step6) Aur han aap Dual Boot screen ka time bhi change kar sakte hai jaise 60 second ya usse kam ye aap par depend karta hai....Thank You.

0 comments:

Post a Comment