How To Customize Win7 Start Menu.

By
Advertisement

Hi Friends today i will tell you How to customize win7 start menu and i hope you ki aap logo ko ye post bahut acche se samaj me aa jayega. dosto aap logo ko ye to pata hi hoga ki win 8 aur win 8.1 ko bina start menu ke chalane me kitni problem hoti hai, jaisa ki main janta hun jo win xp aur win7 chalate rahe ho aur unke samne window 8 ya window 8.1 ka version operate karne ke liye kaha jaye to use us window ko operate karne me bahut paresani hoti hai. aisi problem ke chalte hue microsoft ne win 10 me fir se start menu ko set kiya hai, to hume aur aap ko window ko operate karne me start menu kitna usefull tha. start menu ke hone se window ko use karna bahut hi simple sa lagne lagta hai, start menu ke hone se computer ke sabhi program ko aasani se open kiya ja sakta hai. Example: My Computer, Document, Recycle Bin, any other files and folder, vaise to start menu ki window me yah setting pahle se hi usme uplabdh hoti hai, but aap ise apne according change bhi kar sakte hai. aisa karne se aapke liye aapka system pahle ki apekha simple aur fast ho jayega.




How to rename Start Menu Item.

Chaliye hum aapko batate hai ki start menu ke item ko rename kaise karte hai, to aap dekiye ki start menu me jo item diye gaye hai, un sabhi item jaise My Computer, pictures, Music, Document and any other aise option ko aap aasani se rename kar sakte ho. but aapko kya karna hai ye main aapko bata raha hun, aapke samne jo option diye gaye hai aap un par right click keejiye, aisa karne par aapke samne us option pa mouse ka cuesor automaticly lag jata hai, ab aap us option ko machahe name me badal sakte hai, aur han aap inhe hindi me bhi rename kar sakte hai. aisa karne ke liye aapko apne pc computer me unicode ko install karna padega.



www.Techthetips.com

windows ke Power Button ke action ko change karne ka tareeka.

aap logo ko ye to pata hi hoga ki win7 me power button hoti hai. aur yahan kuch option bhi show hote hai jaise default program yahan log off ka button diya hota hai, but aap ise change karna chahte ho, to ise kaise change karenge, to sabse pahle aap apne task bar par right click keejiye iske bad aap prooerties par click keejiye iske bad properties me start menu tab par click keejiye, yahan par aapko power button ke action menu par click karna hai. click karne ke bad aapke samne bahut se option show hone lagenge, jaise ki switch user log off lock sleep shut down restart aap inme se kisi ek ko select karke apply kar deejiye. is tareeke se aapki window ki power button action change ho jayegi.

Recent Program Me file aur folder ko Display aur hide kaise karte hai.

Recent program me file ya folder ko display ya hide kaise karte hai. dosto yah option aapke liye bahut hi mahtavpoorna hai. isse aap log bah file aur program direct start menu se bhi khol sakte hai, jin file aur program par aapne current me work kiya hai. Example: Microsoft Word Microsoft Excel Microsoft Power Point Aur bhi kai program ki files. aisa karne ke liye aapko Taskbar aur start menu propertis me start menu tab par click karna hai. ab apko yahan pravecy me do option dikhai de rahe honge, aap in dono option par tick kar deejiye....Thank You.

0 comments:

Post a Comment