Hidden Files Aur Folder Ko Show Karne Ka Aasan Tareeka.

By
Advertisement


www.Techthetips.com

Hi Friends Computer ya Pendrive ki hidden files ko kaise show karte hai ye main aaj aapko batane ja raha hoon. kya hota hai hidden. Dosto hidden ka matlab hota hai chupana. Kisi file ko hum khud hidden karte hai. ya kuch files virus problem ki vajah se automaticlly hidden ho jati hai. Aur wo hidden files computer ya pandrive me apni capacity ghere rahti hai. ek to file bhi nahi dikhai de rahi aur doosri problem ki wo space bhi ghere hue hai. ye problem bahut hi paresan karti hai. is problem ko solve karne ka humare pass ek hi rasta hota hai only Formate ka. Formate karke hi hum is problem se chutkara pa sakte hai. nahi isse chutkara pane ke liye hamare pass aapke liye ek aasan si usefull trick hai. Aur han is trick ko use karne par aapko kisi prakar ke software ka bhi use nahi karna hoga. To aaiye hum jante hai ki kaise karte hai is trick ko use.


Trick:-

www.Techthetips.com


Suppose that aapke pendrive me ye problem hai. aapko use solve karna hai.

To sabse pahle Apne pendrive ko computer ke USB port me lagaye.
Iske bad Win+R press keejiye jaise hi aap is key ko press karenge to aapke samne RUN Box Name ka ek Dilouge Box open ho jayega.

Is Run Box me aap CMD type karke Ok Button par click kar deejiye. aisa karne par aapke samne ek Command Box Open ho gaya hoga.

Isme Ye Command Type (attrib -h -r -s/s /d h:\*.*) Enter button ko pres kar deejiye. jaise hi iski process puri ho jaye. iske bad aap apne pendrive ko open keejiye. aapki sabhi hidden files show ho jayegi..Thank You.

0 comments:

Post a Comment