Ager De Raha Hai Aapka Computer Beep Error To Aise Kare uski problem ko Solve.

By
Advertisement

www.Techthetips.com


Hi Friends Ye Beep Error ki problem bahut se computers me ho jati hai. aur humara computer beep error ke sath sath display bhi nahi karta, to ye problem humare liye bahut hi badi problem ho jati hai. ki is problem ko kaise solve kiya jaye koun si trick ko use kiya jaye. to iski problem ko solve karne ki kuch khas baten hum aap logo ke samne batane ja rahe hai. ager aap un baton ko dhyan me rakhenge to aapki ye problem solve ho jayegi. to chaliye jante hai ki koun si hai wo baten.

Dosto ye problem jo hoti hai jyadatar RAM, Display Card, CMOS battery ya kisi hardware part ki wajah se ho sakti hai. aapko bs ye pta lagana hai ki computer me beep error ki aabaj kis tarh se aa rahi hai. ager aapne is bat ka pata laga liya to aap aasani se is problem ko solve kar sakte hai. ab aap log ye soch rahe honge ki beeping ki aabaj to ek jaisi hoti hai. to fir suno main aap logo ko bata doon ki har ek part ki problem ka beep sound alag alag hota hai. to dosto kaise pahchane beep ki aabaj aur kaise karne problem ko solve, chaliye jante hai is khas trick ko.

Beep Sound Ko pahchanne ke Assan Tareeke.

1-) Ager aapka computer One Time Beep Karta hai. To iska matlab hota hai Ki D-RAM Refresh fail Ho
      gaya hai. is possition me aapki RAM kharab ho gayi hai ya fir Mother Board Surcit kharab ho gayi hai.

2-) Computer Ager Two Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki RAM Error kar rahi hai Aap RAM ko
      Nikal kar Dobara se laga Deejiye.

3-) Ager  computer Three Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki Aapke computer ki RAM kharab ho
      gayi hai.

4-) Ager Four Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki computer ka Mother Board Timer ke
      proper work na karne se.

5-) Ager aapka computer Five Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki Apne CPU ko sahi se plugged
      kare.

6-) Computer Six Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki aapke keyboard ka controller
      kharab ho gaya hai ya fir sahi tareeke se aapke computer se touch nahi hai.

7-) Ager aapka computer Seven Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki Micro processor ko change
      kake dekhen.

8-) Ager aapka computer Eight Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki computer ka display card kharb
      ho gaya hai.

9-) Ager aapka computer Nine Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki aapka mother board ROM
      kharab hai.

10-) Ager aapka computer Ten Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki CMOS ROM kharab Hai.

11-) Ager aapka computer Eleven Time Beep karta hai. To iska matlab hai ki aapke pc ki Case Memory
       Kharab hai. ab aap ye soch rahe honge ki cash memory kya hoti hai. Cash Memory Micro Processor 
       me lagi hoti hai.

1 comment: