Dosto Mobile phone to bahut hai but jo nayi Genration ki demand hai us mobile ko kahte hai Android Phone Android Ko nayi generation bahut like kar rahi hai. Badalte hue time ke hisab se Android ne bahut Dhoom machai hai. aur to aur google bhi Android ke sath naye naye practical karta rahta hai. But Ek problem android hamesa pareshani deti rahti hai, ab aap soch rahe honge ki aisi koun si paresani hai, to main batata hoon ki wo koun si parsani us paresani ka name hai VIRUS. VIRUS jo hota hai wo Technology aur Electronic cheezo ke liye bahut khatnak sabit hota hai. jaise ki kisi moblie me virus aa jaye jaye to fir wo mobile bahut problem creat karne lagta hai jaise ki mobile ka hang hona bar bar automatic switch ka On-Off hona. aisi bahut si problem virus ki vajah se taiyar ho jati hai. is type ki problem ko solve karne ke liye ab pass ek hi rasta bachta hai, ki us phone ko formate kiya jaye. taaki ye pahle jaisi condition me work kar sake. formate hone ke bad aapka mobile reset ho jayega. to kaise karte hai ise reset jane.
Android Mobile Ko Reset Karne ka Simple Tareeka.?
Android mobile ko reset karne ke liye karen ye trick use.
1- Sabse pahle apne mobile ke Menu ko open keejiye.
2- Ab Menu se setting ko open keejiye.
3- Setting me Privacy setting ko open keejiye.
4- Ab Factory Data Reset open Keejiye.
5- Ab aapko apan sd card formate nhi karna hai. to usse tick mark hata deejiye.
6- Ab aap Reset option ko press kar deejiye.
7- Kuch samay wait karne ke bad aapka phone formate ho jayega.
Ager Is trick se bhi apna Factory Data ko reset kar sakte hai.
Trick *2767*3855# is Code ko use karke aap apne Android phone ko Reset kar sakte hai.
0 comments:
Post a Comment