Kaise Banaye Hard Disk Me Partition

By
Advertisement

Win7 Me Hard Disk ke Partition banane ka tareeka.

www.techthetips.com


jab hum pc computer ya laptop me window 7 ko install karte hai. Tab usme hum teen partition hi bana sakte
hai, but hum ager in partition ke alava aur bhi partition banana chahte hai. to kaise banayege. to aaiye hum aapko iske bare me jankari dete hai. jab aapki window 7 install ho jaye iske bad aap usme aur partition bana sakte hai.

Partition Banane ka esay Method.

To sabse pahle apne keyboard ki window logo key yanki start button ko press keejiye. press karne ke bad aap search bar me computer managment ko type keejiye aur Enter ki button ko press keejiye.
jab aap computer managment  pr click karenge to aapke samne computer managment ke program open ho jayenge, iske bad aapko usme se Disk Managment pr click karna hai. jaise hi aap Disk managment par click karenge to aapke samne hard disk ke Sabhi Partition is tareeke se aapko dikhai denge.

Ab Aap naya partition banane ke liye aapko jo free space ka option dikhai de rha hai. aap us par right click keejiye, iske bad new simple volume par click keejiye, aapke samne ek wizard open ho jayega aap uske next option par click keejie, iske bad aap simple size volume ko choose keejiye jitne size ka aap partition banana chahte ho. iske bad aapke samne ek alphabate ka option aayega us par jab aap click karenge to alphabate ki list open ho jayegi usme se aap F alphabate ko choose kar leejiye. uske bad aap next button par click keejiye ab aapke samne finish ka option aayega. ab aap finish par click keejiye. ye process karke aap apne hard disk drive me manchahe size ka partition bna sakte hai...Thank You.

0 comments:

Post a Comment