How To Compress Big Size Files Change In To Small Size File

By
Advertisement

Badi Files ko Compress karne ka tareeka.


Hi Friends How are you....aaj main aap logo ko ek badi problem ko solve karne ki simple si aur choti si trick batane ja rha hun. is post me hum aapko file ka size badlne ka tareeka batane ja rha hun, ki kaise ek badi size ki file ko chota karne ke liye kya karte hai. hum sabhi logo ka manna hai ki badi size ki files jo hoti hai use save karne me ya Download karne ya kisi ko send karne me har treeke se use karne me problem create hoti hai, ager files ka size chota hai to hum aasani se save bhi kar sakte hai Download bhi Kar sakte hai. aur kisi ko jadi se send bhi kar sakte hai.ager file ka size bada hai to memory jyada gherta hai aur use Download karte hai to net bhi jyada expence hota hai. aur download kro to net ki bahut badi problem hoti, aur han badi file ko email se send karne me bahut samsya hoti hai. aisi problem ko solve karne ki keval ek trick hai ki file ko compress kar liya jaya, aisa kane se file ka size compress ho chota ho jata hai. aur han ab hum ise aasani se transfer bhi kar sakte hai. ager aap aisa krna chahte ho to humare pass aapke liye ek Tool hai, is tool ki help se aap apni badi size ki file ko choti size me aasani se change kar sakte hai. Humare pass jo tool hai us tool ka name hai WINRAR. To fir Chaliye hum aapko batate hai ki winrar kya hota hai. ye ek type ka bahut hi mahatvapoorna software hota hai. is software ki sahyta se aap files ka size chota bhi kar sakte ho aur usme password bhi laga sakte ho.

kaise karte hai File Ko Compress . 

www.Techthetips.com

file ko kaise karte hai compress to sabse pahle aap jis file ya folder ko comress karna chahte ho, us par right click keejiye ab add to archive ko select karna hai, jab aap aisa karnege to aapke samne ek window tab open ho jayegi ab aapko dikhai de raha hoga ki window me compress karne se relative bahut se option diye gaye hoge. ab ager aap yahan compression method me Normal Mode ke jagah best Mode ko choose karenge to aapki file acchi tareeke se jayada compress ho jayegi, yani ke file ka size bahut kam ho jayega, aur han ager store ko choose karte hai to aapki file zip file me hi badal payegi. ab ager aap file ya folder me sequrty code protect (dalna)karna chahte hai. to add to archive kare iske bad aapke samne jo window open hai usme set password par click keejiye aur usme password dal deejiye, jab password create kare to Encrypt File names par tick jaroor lagaye. isse aapki RAR file ke andar kya hai bina password ke koi bhi person pta nhi laga sakta.

Compress File Ko Open karna.


www.Techthetips.com

sabse pahle aap compress file par right click keejiye ab aap Extract here ya Extract to file name par click keejiye. hum aapko ye bata de ki ye dono option alag alag type se work karti hai. Ager aap Extract here option par click krenge to compressed file ke andar ki sabhi file wahi Extract ho jayegi. aur ager aap second option yani ke Extract to file name pr jab aap click krenge to aapki sabhi files ek folder me Extract ho jayegi. To Hum is prakar se compress files ko open kar sakte hai..Thank You.

0 comments:

Post a Comment